People of Pakistan Far Away from their Basic Right


Pakistan main har sal sailaab atay hain,,,jis se aam admi jo khaito khalyano main ya phir mazdoori karty hain agar mil jay tou kam karty hain, waisy be Pakistan main beroozgari ki sharaah din badin bharti ja rehi hay jis se na to mojoda hakomat ka koi talak wasta hay or na pichli hakomto nay is masla par kuch khas zoor dia,,,
isi masly ko lijiy haliya Pakistan main sailaab any se jo tabah karia ho rehi hain us se aam admi ka kitna nuksan ho raha hay,, yeh aaam admi hain koon,, Pakistan se is ka kaya laina daina hay,,,
ji janab,,
yeh aam admi Pakistan k Mohib-e-watan loog hain jo mehnat mazdoori kar k taxes bhar k sarkar ko paisa fraham karty hain ta k Mulak ka nazaam chalta rhy or aaam admi ko bunayadi saholiyaat naseeb hon,,, lakin yeh khwab e raha hay Pakistan k aam admi ka.
aam admi Parh Likh kar be byroozgar hay ,,,
or Jahil or uneparh loog sayasat main bura-jaman hain,,,pary likhy be hain lakin wo sirf khud ki jabain bhar rehy hain,,,
hamari hakoomat Metro Bus to bana deti hay lakin yeh nahi pata usy k yeh amm admi to pehly be safar karty rhy hain,,,itna paisa agar bijli ki kami poa karny par lagaya jata to aam admi jo roozgar se wabasta hain wo apna kaam anjaam day kar mulak ko taraki ki rah par khara kaya dohra sakty hain,,
hamari hakoomat is masly ko Tv news paper social media par to bayan karti hay k ham yeh kar rehy hain wo kar rhy lakin yeh hoga nahi,,,,Tax lagty rehain gay ,,loog dety rehain gay ,,,
har sailab aty rehain gay aam admi marty rehain gay,,,,
hakoomat ko un projects se dilchasbi hay jin main unko mufaad ho,,,
commission mily,,,partnership ho,, unki mills ka saman lagy,,,
aam admi apny bal booty par kaya kary,,,
100KM dour se a kar metro bus ka safar kary,,, 
kaam kaaj chooor ka bulit trains ka safari kary,,,
ya sailaab se mutasra apny ghar ya ghar walo ko mehfooz mukam par lay kar jay,
agar hamry mulk main bijli,pani,beroozgari,gurbat ka masla nahi hay to yeh phir Minister kis cheez k baithy howay hain seats par,,,,,
zara sochiay ,,,
ka zameer zinda hay ,,
Khuda ko Mohn dikhana hay


No comments:

Post a Comment